Tum kya ho zindagi me?
Ho jaise kohinoor sa!
Tum kyu ho zindagi me?
Na jee paane ke zakhm par,
jeene jaisa marham sa!
Baarish ki raato ke baad,
Os jaisi subah sa!
Thake hue badan ko jaise,
Ek adrak waali chai sa!
Mujhe sulane waali,
Maa ki jaisi lori sa!
Black and white TV par jaise,
Ek channel ho coloured sa!
50 li hui back to back,
Mein ek achi si selfie sa!
10 seb ki petiyo me se,
1 peti ho amba ka!
High heels ki sandal me jaise,
Comfort ho hawayi chappal sa!
2 saal ke bachhe ke,
Bade se bhalu sa!
Mahine bhar ki green tea ke baad,
Ek pyaari si chocolate sa!
Monday ki subah ko jaise,
5 minute ki extra neend sa!
Khoye hue tamaam rubber bands me,
Paaya hua ek scrunchy sa!
Namumkin se chain me jaise,
Mumkin se sukoon sa!!
Tum kya ho zindagi me?
Ho jaise kohinoor sa!
Tum kyu ho zindagi me?
Na jee paane ke zakhm par,
Jeene jaisa marham sa!!
Ho jaise kohinoor sa!
Tum kyu ho zindagi me?
Na jee paane ke zakhm par,
jeene jaisa marham sa!
Baarish ki raato ke baad,
Os jaisi subah sa!
Thake hue badan ko jaise,
Ek adrak waali chai sa!
Mujhe sulane waali,
Maa ki jaisi lori sa!
Black and white TV par jaise,
Ek channel ho coloured sa!
50 li hui back to back,
Mein ek achi si selfie sa!
10 seb ki petiyo me se,
1 peti ho amba ka!
High heels ki sandal me jaise,
Comfort ho hawayi chappal sa!
2 saal ke bachhe ke,
Bade se bhalu sa!
Mahine bhar ki green tea ke baad,
Ek pyaari si chocolate sa!
Monday ki subah ko jaise,
5 minute ki extra neend sa!
Khoye hue tamaam rubber bands me,
Paaya hua ek scrunchy sa!
Namumkin se chain me jaise,
Mumkin se sukoon sa!!
Tum kya ho zindagi me?
Ho jaise kohinoor sa!
Tum kyu ho zindagi me?
Na jee paane ke zakhm par,
Jeene jaisa marham sa!!
Comments
Post a Comment