Suraj ki kirno me bechaini si lagti hai,
Uske dhalne pe gajab garmi si lagti hai,
Hamare ishq me bhi ab ek bimari si lagti hai
Khud ki jaan humpe udhari si lagti hai
Jama kar kya kare wo khhat,phool aur paigaam ,
Iraado me jabki bebas makkari si lagti hai.
Ankho ko kya daam du hijr-e-wafa ka,
Humne to socha tha har waqt inme teri nakkashi si rehti hai,
Khud ki jaan humpe hi udhari si rehti hai..
Haal na pucho is shareer-e-ango ka, tere bin to ab dawa bhi daaru si lagti hai
Aur kya farq bhi hai tere aane jaane ka
Tere hone se bhi to lahu me ek chingaari si dagti hai.
Khud ki jaan hi humpe..
Jante hain is kahani ka sabab hum, phir bhi is barbadi me befikri si rehti hai, na kisi ke jaane ka gum na kisi ke hone ka ehsaas, is khumari me bhi khuddari si lagti hai.
Khud ki jaan bhi ab udhari si lagti hai ..

Comments
Post a Comment