Aaj Zakir khan ka show dekha, acha laga.
Wahi grey-neeli si t shirt,dhisi hui si jeans aur laal khule button waali check shirt.
Mathe par pasina,chehre pe dimple dilati hui muskaan ki chamkaan aur baat baat par ek dum se khilkhilane waali hasi.
Ye sab nawabi liye Lucknow ke stage par khada wo insaan hume betahaasha hasa raha tha.
Har ek baat par hasi aye aisi to koi baat thi un baaton me par ek baat par Ravindraleya taaliyon se gunj raha tha aisi baat thi Zakir me.
Wo sab logon ko akela khada hokar,apni zindagi ki baate,apne andaaz me bata ke hasa raha tha.
Kaafi saadharan, ati saadharan,katai saadharan type ka hum hi jaisa gol sa insaan hai jiski ek maa jaisi hoti hai waisi maa hai aur ladko ke jaise hote hain waise hi Baap hain.
कaksha Gyaarvi me uski zindagi me jo ghata hai wo kisi bhi sheher ke, kisi bhi school ke, kisi bhi Zakir ne jee hogi.
Par baat bas wahi hai na ki usme jo baat hai wo kisi me nahi.
Dusron se pit ke aane ke baad bhi, wo apni zindagi ka hero hi raha aur aaj bhi wo sakhti barkaraar hai.
Aur is baat ka ehsaas aaj hua ki is hero ko lipsync ki zarurat nahi hai,jitna sachha wo khud hai utni hi khoobrusat aawaaz bhi hai.
Kabhi Indore ki chai ki tapri par mila to puchungi"tum jo likhte ho, use gaate kyu nahi be? "
Kya hai na jo shabd bhari hote hain, wo shabd bhari lagte hain par unhe agar sangeet ke saath gungunaya jaaye to zyada pyaare lagte hain.
Khair, mere sawaal to kaafi saare hain usse, par unhe puchne ki urgency ka ehsaas aaj hua.
Mai sach kahu to mujhe aaj bhi ye nahi pata ki wo pasand zyada hai mujhe ya napasand.
Hume aksar wo log pasand ate hain jo hume hasate hain,par logon ko wo isliye pasand ata hai kyunki wo unhe rula deta hai.
Uska chhoota hua pyaar, ek behtar zindagi ki khoj aur bhooke pet ki kahaniya utni hi saral hain,jitni hamari hain, jitni tumhari hain bas faraq ye hai ki humme use taakat ka pul banakar aage badhne ki shakti nahi hai.
Self pity aur self doubt ki mashaal sabkr haathon me hoti hai, par confidence ki baati se jala bahot kam log paate hain,jinme se ek hai ye Indore ke music teacher Khan Saahab ka ladka!
Ye ek aisa Khan hai jiski popularity uski achi acting se inversely proportional hai,uski sachhai hi to bikti hai.
Aur kaksha gyaarvi ho ya baarvi, saatvi ho ya athharvi..Zakir, Zakir khan tha,hai aur rahega.. !
Are haan, naye joote,safed,Adidas ke,khareed liye hain usne,parivartan bas itna hi hai abhi tak ka.

Comments
Post a Comment