Wo thaka haara hua roz raat ko usi bench par jaake baith jata hai,
Jahan se usne din me aate jaate logon ko dekha hoga..
Aaj bhi farsh thanda hai,aaj bhi tan nanga hai.
Zameen ki dhool aksar naak me ghus jaati hai uske..
Bada se har pal badbu ati hai uske..
Kisi bandhe hue time table ki tarah,khane me kachre ki rotiyan,chips and biscuit milte hai use.
Paani to bahot hota hai Station'o par,magar khareedna padta hai,par rupaiyo aur uski dosti utni hi gehri hai jaise ram ki ravan se hogi!
Boond boond ki talab aur Mohtaazi saath me chalti hai,
Ha!Baarish ho jaaye to thoda chain padta hai,badan aur gala dono dhul jaate hain.
Rehne ko ghar,khane ko ann aur peene ko paani,
Bhale hi mushkil se mil pate hain..
Par aaraamfehmi bahot hai usme!
Shayad baithe baithe hi pura din nikaal de,use chinta nahi hoti na,hamari tarah..Ghar,Daftar aur Bhook ki!
Bhale hu bolne me wo humse piche ho par Soch me wo humse kaheen zyada aage hai,
Na kisi ke rang se faraq padta hai na kisi ke kad se,Bas Insaniyat pasand hai use..
Station par khadi tamaam Lauh-Chakra-Vahini me ruke hue logon ko dekhkar shayad yahi Asha karta hoga ki koi usse utar kar peeth par pyaar se haath pher de..
Patri par is paar baithke mai aksar us jaise tamaam dekhe hain!
Phir bhi sochti hu ki wo mujhe dekhkar kya sochta hoga!
Kaala badan,bhuri aankhe,lambi poonch aur latki hui zubaan liye,
Wo mujhe dekh kar kya Sochta hoga!?

Comments
Post a Comment