Subah ke paune 5 baje,jab mai ghar se nikli.
Ghana andhera tha baahar bhi aur bheetar bhi.
Jo mai karne ja rahi thi janti thi ki mujhse nahi hoga.
Par jo mai karna chahti thi janti thi ki aise hi hoga..
Ghar par sab theek tha aisa dikha rahe the mujhe,par maa royi thi aur papa soye na the.
Paani sirf baadalo se tapak kar dharti par nahi pad raha tha.
Har ek bund mere man ko bhi gila kar rahi thi.
Kuch aage badhne par paas se guzarti ek train bhi meri gaadi se race lagane lagi thi.
Usko kahi jaane ki jaldi thi shayad,
Shayad koi dusri saheli train uska intezaar kar rahi thi.
Theek waise hi jaise patti ke is paar mai intezaar kar rahi thi un mauko ka jo shayad Zindagi degi mujhe.
Ha....bas yahi sochke kal baste me saamaan bhara tha maine aur raat bhar mere is faisle par baarish hui thi.
Sochna mushkil hai ki barish kisi ki sehmati se hui thi ya mujhse gussa tha mere chhat ka aasmaan,chhod kr jo ja rahi thi usko.
Ghar se niche utri to wo kutta jise mai roti khilati thi,usne nam ankho se mujhse kuch puchna chaha.maine dekh ke andekha kar diya.Saamne ka Gungun Store bachpan ki yaadon me le gaya, aaj darwaze band rhe uske. Uncle ko aawaaz di thi maine par shutter khula nahi tha, ghar ke bagal ki choti galiyan usme basne waale log ghar ke piche wala park usme hasne wale log..sab yaad the mujhe, bas yaad nahi tha to ruk jana.
Shayad.. Kaafi bhavnayo ko thes pahucha ke ja rhi thi mai,kuch bulandiya chhune ja rahi thi mai.

Comments
Post a Comment