Ek din jab mai apni notebook ke piche waale panne par kuch gol gol lakire khich rahi thi,to tum yaad aa gaye..
Yaad aye wo saare vaade jo tumne haath thaam kar kisi shaam mujhse kiye the.
Jab tum kaha karte the,mere bina tumhari zindagi utni hi adhuri hai jaise chand ke bina aasmaan,shayad bhool gaye the tum ki Aasmaan kisi ek din bina chand ke bhi hota hai,jise amaavas kehte hain.Hoti ek hi raat hai..par kaali aur lambi..
Theek usi amaavas ki tarah,ek din aisa hi hamare rishte me bhi aya aur tumne mera haath chhod diya!
Shayad bhool gaye the tum ki ye haath sirf tumhe thaamne ke liye hi bane the,us din aisa laga jaise tum akele nahi gaye,palat kar jab tum jaane lage to tumhare paao ke saath mere paao ke nishan bhi the..
Kabhi pucha nahi tumse ki tum wapas aoge kya?
Mere haath ab bhi khali hain..
Inko dekhkar aisa lagta hai jaise inki lakire to mitayi ja sakti hain par tumhara naam nahi!
Bas yahi soch kar roz apne daftar se tumhare daftar tak ka safar karti hu,tumhe kaam karta dekh wapas mud jati hu.Ha!hamesha kaam nahi kar rahe hote ho tum,kisi ka haath thame baithe hote ho,aisa lagta hai tumhari zindagi me kabhi amaavas hi nahi.
Bahut ujala hai tumhare paas ya shayad us din jab tumne akhri baar haath milaya tha mujhse,to meri kismat ka "roshni wala hissa" chura ke le gaye the tum.
Chand dekhti hu to sochti hu,kya tumse pyaar karna galat tha?
Jin haathon par tumhare naam ki mehendi lagati thi aaj bas uski kaalik dikhti hai,kuch reh gaya hai piche to bas mere kaano me gunjti tumhari aawaaz,
Kya yaad reh gaya hai tumhe ki ab na meri subah hoti hai na shaam?
Bas..dopeher ho jaati hai zindagi ki,kaam aur thakaan se bhari!
Ek din subah ke 5:30 baje,kulfi khane ki zid ki thi tumse aur aur tum do ghante tak mujhe scooty pe bitha ke ghumte rahe the..mili nahi thi kulfi.
Mai wada karti hu,aisi koi zid dobara nahi karungi,kya wapas aa rahe ho?
Mere khule baalo ko sehlate hue jab tum apni orr mujhe kheech lete the,to mujhe acha lagta tha..
Aaj tak baal khule chhod rakhe hain maine,
Phir se sehlaoge?
Aisi tamaam baate,Sapne aur Lamhe jeene hain mujhe,kya wapas aoge?
Khair chhodo!Janti hu tum Videsh ja rahe ho,
Shayad nahi aa paoge.
Mujhe bas itna kehna tha tumse ki,
Jitna aasmaan mera hai,utna hi tumhara hai..
Jitni Amaavas meri hai,utni hi tumhari hogi!!

Comments
Post a Comment